Monday, 20 April 2015

Incomplete व्याकरण



lakdi ke takhat par
naram baazu ke sirhaane
kat-har jaisi neek gardan ka
maathe se chhu karke ghisna
aur talvon ko ek dusre ka araam

geeli kaayi pe nange paav chalke
silvatte pe pisi mehendi ki bu
umas mein liptee aagosho bhari raat
ke baad jo garam silvatein dekhi thi
taaze bistar pe
angoothon ke chimti ke khel ke baad
hota edi ke ragadne se ek abhaas

jaise deh ke rongton ne ki ek dusro se kaanafoosi
toh girti seelan se ladi deewar pe ki papdi
baahar sadke bheegti iss boonda-baandi ke shor mein
phir bhi pardo ke gali se khambo ka rukta nahin 
kabhi shikaayat karna
aur kaano ke daaton tale kutarna
taalu ko yaad rehta hamesha
aur anishchit karvaton mein
has-ro ke ghum hojaana neend mein

udhaar rahega mujhpar yeh
adhoora saraansh tumhara





No comments:

Post a Comment